Total Pageviews

Wednesday, August 11, 2010

hawa saa ban jab udta tha main...


baarish ki un boondon main jab,


hum wo bheega karte the,


har shaam dhale hum uske aanchal,


main hi khela karte the.




Suraj ki kirano ki wo,


kilkariyan jo chubha karti thi,


har shaam dhale hum,


yoon hi chup kar unko dhoondha karte the.




Mann tha tab thoda sa chanchal,


thodi hulchul ab bhi si hai,


thode hum the pagal tab se,


par shayad ab kasar nahi hai.




bejaan hai tu,


ya hum hi thame hain,


anjaan hai tu,


ya hum hi pare hain.


tere iss intezaar main,


lagta hai ki hum hi khade hain.




Tere hi uss aangan se hum,


dhoop sameta karte the,


jaane wo sab kahan gaya,


jab ghaas main leta karte the.




baarish ki wo boondein thi wo,


jinko hum pakda karte the,


shayad wo ik hawa si hai ab,


jispe hum jiya sa karte the.




mann tha tab thoda sa chanchaal,


thodi hulchul ab bhi si hai,


thode hum the pagal tab se,


par shayad ab kasar nahi hai

1 comment:

Saloni said...

:)
kasar ab bhi hai..
n u knw dat too... :)