Total Pageviews

Saturday, June 24, 2006

kalam


aaj phir kuch kalam ne kehna chaha.
jo tha zahan main use kuredna chaha.

bahut roka maine par vo chal hi pada.
maine jo haath thamna chaha.

yun hi baitha main dewar ko dekhun.
phir main uske as par ko dekhun.

pas mere sab kuch, par jane kyon main cheekhoon
main bhi insaan hun hoon to phir kaise seekhoon.

rota chilata main khamosh raha.
jane kab tak is sailab ko seechoon.

sahta raha jane kyon main khamoshi se.
aakhir kab tak main usko bahne se rokun.

nikal pada vo ik din, jane anjaane main.
par jane na diya maine bhi yun hi mehkhane main.

aab sonchu kyon ye kalam rukti nahi.
ise pata nahi ki ye rag ab dhukhti nahi.

tabhi is kalam ne aaj kuch kehna chaha.
jo zahan main tha use kuredna chaha.

Tuesday, June 13, 2006

shayad


















Shayad vo ek mausam hit tha.
ik pal sard aur dooje main barsa hi tha.

jane to us sard hawa main kitna moti dhoonde.
is khauf main tha man ki phir sab kuch bahe jayega.

ik pal main bheega dooje jala,
phir bhi jane kyon vo mujhpe yun hi chala.

jane kyon phir bhi lagta hai ki vo ik mausam hi tha.

jane suraj mujhpe itna raushan kyon tha,
shayad vo bhi us mausam ka ek gune tha.

kaash ke jhonka hawa ka main bhi hota,
to saath uske naam mera bhi hota
main bhi phir shayad uska ik chehra hota .

shayad phir vo samajhta meri khamoshi
aur mujhse bhi kuch kehta hota.

shayad main hi kuch khudgarj tha.
manga jo maine vo uska dard tha.

pyaar diya usne par shayad vo ek karz tha
diya to maine bhi jaise vo mera farz tha.

par shayad vo ek mausam hi tha.
ik pal barsa aur dooje main sard hi tha...